search
top

Na ghar ke na ghat ke- Agar hum tumko chhede toh

(agar hum tumako chhede toh, kya ruthoge hamase bolo
hato ji jaao rehane do, jara jaakar ke muh dho lo
ghata bankar ke chha jaaye – (2)
kahin baabuji na aa jaaye) – (2)
agar hum tumako chhede toh, kya ruthoge hamase bolo

o o o o o….
jaaneman mauka mila hai, dekho kya mausam khila hai
me hai you hai aur ho woh hai, de do dil
yeh kaisi rat lagi hai, kya din mein bhang pi hai
auto lo ji, ghar chalo ji, bhar ke bill
chalo phir raahon mein gaayein, kyun
chalo phir raahon mein gaayein, police waale na le jaaye
agar hum tumako chhede toh, kya ruthoge hamase bolo

dekho kuchh problem nahi hai, yahaan ka system yahin hai
my dear ji come near me, in the lane
uchhalo na besharam se, maano kehana kasam se
haath chhodo juldi daudo, aayi train
raj aur simran ban jaaye, kyun
raj aur simran ban jaaye, last local na nikal jaaye
agar hum tumako chhede toh, kya ruthoge hamase bolo
hato ji jaao rehane do, jara jaakar ke muh dho lo
ghata bankar ke chha jaaye – (2)
kahin baabuji na aa jaaye
agar hum tumako chhede toh, kya ruthoge hamase bolo

Na ghar ke na ghat ke – Na ghar ke na ghat ke

(aa gayi mumbai ke saagar mein gaanv ki naiya
par iss route ki sabhi line vyast hai bhaiya) – (2)
mehanga pad gaya sapane bunana – (2)
na ghar ke na ghaat ke munna – (3)

badali hai aabo hawa, badal gaye hain najaarein
yeh signal yeh local dost naye hai tumhaare
na jyaada sunana, na jyaada bolana
aane mein hawa bhi kam le saans bhi pyaare
mehanga pad gaya sapane bunana – (2)
na ghar ke na ghaat ke munna – (2)

apana woh hota nahi, jo apana lagata hai
wrong hai right, jeb hai tight, lekin na sab chalata hai
rasta hai sidha chalu tedha chale
yahaan ke matlab se suraj aur chaand nikalata hai
mehanga pad gaya sapane bunana – (2)
na ghar ke na ghaat ke munna – (2)

kaale kaale coat hare hare note
taxiya kaali pili, technicolor hai yeh shehar
baatein isaki rangili
lekin khushiyon ka color hai kaun sa
pehchaane yeh phir toh bas jindagi ji li
mehanga pad gaya sapane bunana – (2)
na ghar ke na ghaat ke munna – (2)
aa gayi mumbai ke saagar mein gaanv ki naiya
par iss route ki sabhi line vyast hai bhaiya
mehanga pad gaya sapane bunana – (2)
na ghar ke na ghaat ke munna – (3)
are munna, na ghar ke na ghaat ke munna

Na ghar ke na ghaat ke – Sajan baaware

kataari, kataari, kataari….
chaandani chhu ke tan ko pighalane lage
haay, odhani odhu toh woh phisalane lage
kya lugaai mein haay
kya lugaai mein dhundein sajan baaware
dekh chhu ke laga du agan baaware
sajan baaware, sajan baaware
kya lugaai mein dhundein sajan baaware
dekh chhu ke laga du agan baaware
kataari, kataari….

(haay, jaane kahaan khoya mere badan pe sharaara tha
kamariya ka til julmi ?? bhi kawaara tha) – (2)
aake meri kamariya ka til dhund le
mere lehange ke silwat mein dil dhund le
dilrubaai mein haay
dilrubaai mein bitein saawan baaware
kahaan mujhasi milegi dulhan baaware
sajan baaware, sajan baaware
dilrubaai mein bitein saawan baaware
kahaan mujhasi milegi dulhan baaware

(mohe ang lagaale tere sab ghum bhula du main
ghodi chadha hai tujhe rocket chadha du main) – (2)
maana ke america mein parmaanu bamb hai
kya button meri choli ka usase kam hai
kyun sagaai mein haay raama
kyun sagaai mein ataka hai mann baaware
tujhako dungi nishaani button baaware
sajan baaware, sajan baaware
kyun sagaai mein ataka hai mann baaware
tujhako dungi nishaani button baaware
chaandani chhu ke tan ko pighalane lage
haay, odhani odhu toh woh phisalane lage
kya lugaai mein haay
kya lugaai mein dhundein sajan baaware
dekh chhu ke laga du agan baaware
sajan baaware, sajan baaware
kya lugaai mein dhundein sajan baaware
dekh chhu ke laga du agan baaware

are aisan laaga tohara chasaka mann boharaaya jaaye re
are aisan laaga tohara chasaka kuchh samajh na aaye re
sajan baaware, sajan baaware
(dekh chhu ke laga du agan baaware
kya lugaai mein dhundein sajan baaware) – (2)

Prem ka Game – Prem ka Game

dum dum dum, dum dum dum
hey mister prem, hey mister, hey mister
hey mister prem, whats the shame
hey mister prem, hey mister, hey mister
hey mister prem, prem ka game
game, prem ka game, game, prem ka game – (2)
game game game game, prem ka game – (2)
prem name ne jaras pada hai, sar pe khatara baras pada hai
khatare saala…
married banda wild nahi hota, hota hai game
ghar ke baahar game jo khele baj jaata hai game
prem, prem ka game
ik chaavi ka ek hi taala, bhule jis lamaha
hota name kharaab, duniya bole what a shame
shame shame shame, prem ka game, prem ka game, prem ka game…

shaadi ke chewgum ka swaad ghate toh dil dole
kisi aur ka naam lekar dil i love you bole
behkaaye dil tadpaaye yeh fuslaaye aise
mann ke andar naughty naughty laalach yeh ghole
prem ka game, prem ka game, prem ka game…
trailer itana pyaara toh picture kaisi hogi
?? bhulawa de jo uss jannat jaisi hogi
readymade jab pyaar mile toh, kyun mauka chhode
menaka ki jaisi yeh bhi bilkul waisi hogi

yuun na kar jhol, shaadi ka mol
naadaan gar na samajha aur bhatak gaya toh khul jaayegi pol
prem, prem ka game
yuun na kar jhol, shaadi ka mol
naadaan gar na samajha aur bhatak gaya toh khul jaayegi pol
(dekho dekho dekho dekho liye dil mein prem ka naara
jab nikala tab fisala, kaise fas gaya prem bichaara) – (2)
fas gaya saala
prem, prem, prem, prem, ho mister prem….
fas gaya saala

Prem kaa game – jaadu tera jabardast

soniye jaaniye soniye heeriye
mera jaadu jabardast, mera jalawa jabardast
meri aankhein jabardast, yeh jawaani jabardast
jaadu tera jabardast, jalata tera jabardast
aankhein teri jabardast, jawaani teri jabardast
haan (ik najar tu daale jisape jal jaaye woh
patthar bhi tu chhu le toh pighal jaaye woh) – (2)
soniye jaaniye soniye heeriye

mera jaadu jabardast, mera jalawa jabardast
meri aankhein jabardast, yeh jawaani jabardast
dil karata hai woh kar jaau, jo dil karata hai
yeh dil teri har hasin ada pe yuun marata hai
jo aaj talak na kiya ho tere naam woh kar du
yeh dil deewaana hardam tera dum bharata hai
ai dilnashi tune paagal kar diya
soniye jaaniye soniye heeriye

jabardast, jabardast, jabardast
mujhame hai woh tufaan jisame kho jaayega tu
aayega mere paas dhunwa ho jaayega tu
khaabon mein aati hoon par tere haath na aau
aayi bhi jo teri duniya mein toh jaayega tu
iss dilnashi ne tujhe paagal kar diya
soniye jaaniye soniye heeriye
jaadu tera jabardast, jalata tera jabardast
aankhein teri jabardast, jawaani teri jabardast
haan (ik najar tu daale jisape jal jaaye woh
patthar bhi tu chhu le toh pighal jaaye woh) – (2)
soniye jaaniye soniye heeriye

Page 55 of 130« First...102030...5354555657...607080...Last »
top