search
top
Currently Browsing: Hindi Movies

Zinda – har saans sulajh rahee

(har saans sulajh rahee thee uljhaane ko tum aa gaye
jo aag bujh rahee thee bhadkaane ko tum aa gaye) – (2)

har kadam par hawa hai kathin waasta, jine ka hausla dard ka silsila
saans aajaad hai jina dushwaar hai, pehle din ke liye bahut pyar hai
main phir bhi jee raha hu aajamaane tum aa gaye
main kab kahaan kho chuka hoon bataane tum aa gaye

koi kehta yaha jindagi saj gai, koi kehta waha jindagi mit gai
ek tamanna yaha ek tamanna waha, ek bharosa yaha aur nafarat waha
har jakhm khil raha tha dil jalane tum aa gaye
raste pe main chal pada tha, behkane tum aa gaye
(har saans sulajh rahee thee uljhaane ko tum aa gaye
jo aag bujh rahee thee bhadakaane ko tum aa gaye) – (2)

Zinda – kyaa Main Zindaa Hoon

(chal Rahi Hai Saanse Kyun Beh Rahaa Hai Lahu Kyun
phir Bhi Kyun Nahi Lagtaa (kyaa Main Zindaa Hoon)- 2) – 2

seene Mein Hai Jalan Kyun Tadapti Rooh Hai Kyun
phir Bhi Kyun Nahi Lagataa
kyaa Main Zindaa Hoon – 4

dil Dhadak Ke Puchhataa Hai
kya Main Zindaa Hoon – 2

ye Suni Andheri Bekaraari Jana Pehchaanaa Dhundhati Hai Kyun
mitaa Huaa Naamonishaan Puchhati Hai Kyaa Main Zinda Hoon

machalte Aankhonse Chhalak Jaate Hai Aansu
chikhati Hai Bechaini
kya Main Zindaa Hoon – 4

chal Rahi Hai Saanse Kyun Beh Rahaa Hai Lahu Kyun
phir Bhi Kyun Nahi Lagtaa
kyaa Main Zindaa Hoon – 2

seene Mein Hai Jalan Kyun Tadapti Rooh Hai Kyun
phir Bhi Kyun Nahi Lagataa
kyaa Main Zindaa Hoon – 6

Zinda – Zinda Hu Main

Maut Sharminda Jism Jaan – 2
sab Zinda Hain
hawa Kafan Hain Saansein Dafan Hain – 2
mitti Mitti Hain Sab
zinda Hu Main Kiske Liye – 3

chot Yeh Chuninda Zakhma Ka – 2
shaukh Zinda Hain
nabj Zehar Hain Bahe Dard Hain – 2
mitti Mitti Hain Sab
zinda Hu Main Kiske Liye – 3

beasar Hai Sab Kutch Yeh Khuda – 2
sharminda Hain
hawa Kafan Hain Saansein Dafan Hain – 2
mitti Mitti Hain Sab
zinda Hu Main Kiske Liye – 3
kiske Liye

Zindagi – Ham Dil Ka Kanval

Ham Dil Ka Kanval Denge Jisko Hoga Koi Ek Hazaaron Mein
saagar Mein Kahi Jyon Ik Moti Jaise Chanda Kai Sitaaron Mein

ye Roop-rang Ki Phulvaari Uske Liye Hi Ye Phool Khile
sab Kuch Dena Hai Saunp Use Jis Din Jis Pal Vo Aan Mile
baagon Mein Usi Ke Charche Hain Hai Uski Baat Bahaaron Mein

kisne Dil Jeeta Taakat Se Chaahat Kab Aag Se Darti Hain
naadaan Shikaari Kya Jaane Hirani Kis Raag Pe Marti Hain
talvaar Ka Zor Nahi Chalta Ho Jaati Hain Baat Ishaaron Mein

Zinda – kabhi Muskurake Mushkilon

(kabhi Muskurake Mushkilon Se Mil Gaye
kabhi Hasake Gam Ko Pi Liyaa
naa Kal Ki Sochi Naa Kal Ki Thi Fikar
jaise Mujhe Jeenaa Thaa Maine Waise Hi Jiyaa) – 2

ab Ho Jaye Jo Ho Jaaye Khada Hoon Seena Taane – 2
jahaan Mein Kahaa Hai Dum Mujhe Jhukaane

jhuktaa Nahi Hai Jo Woh Tootane Kaa Intezaar Karta Hai
bemaut Marta Hai Koi To Har Saans Se Pyaar Karta Hai

bematlab Hai Mera Duniyaa Se Puchhnaa
ke Jo Huaa Woh Kyun Huaa
kis Jurm Ki Hai Mujhako Mili Sazaa
koi Bataa De Bas Maine Aisaa Kyaa Kiyaa

(ab Ho Jaye Jo Ho Jaaye Khada Hoon Seena Taane) – 2
jahaan Mein Kahaa Hai Dum Mujhe Jhukaane

top