search
top
  • Movie / Album 3 idiots
  • Release Year 2009
  • Music Shantanu Moitra
  • Singers Shaan, Shantanu Moitra
  • Lyrics Swanand Kirkire

Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
hum ko to raahein thi chalaati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta, masti mein chalta
tha woh
Hum ko kal ki fikr sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko jeeta tha woh

Kahan se aaya tha woh
Chhoo ke hamare dil ko
Kahan gaya usae dhoondo

Sulagti dhoop mein chhaaon ke jaisa
Raegistaan mein gaaon ke jaisa
Mann ke ghaav pe marham jaisa tha woh
Hum sehme se rehte koovein mein
Woh naidya mein gotae lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh

Baadal awara tha woh
Yaar humara tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
hum ko to raahein thi chalaati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta, masti mein chalta
tha woh
Hum ko kal ki fikr sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko jeeta tha woh
Kahan se aaya tha woh
Chhoo ke hamare dil ko
Kahan gaya usae dhoondo

top