Apne haathon kee lakiron mein basa le mujhko,
Main hoon tera to naseeb apna bana le mujhko,
Mujhse too poochne aaya hai wafa ke maani,
Ye teri saadaa-dili maar na daale mujhko,
Khud ko main baant na daaloon kahin daaman-daaman,
Kar diya tune agar mere hawaale mujhko,
Waada fir waada hai main zehar bhi pee jaaoon qateel,
Shart ye hai koi baahon mein sambhaale mujhko.
More songs from the album
- Tumhari Anjuman Se Uth Ke Deewane Kahan Jate
- Sadma To Hai Mujhe Bhi Keh Tujhse Juda Hoon Main
- Angdai Par Angdai Leti Hai Raat Judai Ki
- Pareshan Raat Sari Hai Sitaron Tum To So Jao
- Apne Hathon Ki Lakeeron Mein Basa Le Mujhko
- Dil Ko Gham-E-Hayat Gawara Hai In Dinon
- A Milestone – Yeh Mojeza Bhi
- Milkar Juda Hue
