search
top
  • Movie / Album Lamhaa
  • Release Year 2010
  • Singers Palash Sen
  • Lyrics Amitabh Verma, Sayeed Quadri

Bulla kahe tuu kucch bhi nahiin
Main bhi kahoon main kucch bhi nahiin
Naa des mera;Naa mitti meri
Main hoon banjaara
Meri hi zameen pe
Main kaun hoon, Main kaun hoon
Kyon apne jahaan me
Main hoon ajnabee

Naa jaane kyon aisa ho gaya
Begaani hui apni jagah
Naa jaane kyon apni hi taraf

Utttee hain sabhi ki ungliyaan
Ab toh yakeen khud pe bhi nahiin
Anjaana hain har lamhaa yahaan
Nazre churaaye aankhein jhukaaye
Kab tak jeeye hum is tarah
Kaisi khata thi jo yeh sazaa di
Humko kahiin ka naa rakhaa

Jannat thi apni sarzamee
Sufi humko kehte sabhi
Ab toh koi mujrim koi aatanki keh rahaa
Main kaun hoon, Main kaun hoon

Kyon apne jahaan me
Main hoon ajnabee

Chehre to sabke hain haseen
Par dil main hain bas aag hi
Bujhti nahiin jo jal rahi
Jo pooche baarhaan

Main kaun hoon, Main kaun hoon
Kyon apne jahaan me
Main hoon ajnabee

top