search
top
  • Movie / Album Madholal Keep Walking
  • Release Year 2010
  • Singers Altaf Raja

Yeh mashala hi,
Aisa tha ki hal na kar saka,
Aie zindagi mein
Tujhko mukammal na kar saka..2

Falsafa yeh zindagi ka,
Koi bhi na ab tak samjha,
Falsafa yeh zindagi ka,
Koi bhi na ab tak samjha,
Itni saari bheed mein insaan,
Laage kitna tanha tanha sa,
Falsafa yeh zindagi ka,

Koi aaye koi jaaye,
Sab k sab hai musafir,
Koi aaye koi jaaye,
Sab k sab hai musafir,
Chaar dino se jaada koi,
Rehta nai hai hazir,
Ajnabi in logo mein bhi,
Laage har chehra apna sa,
Falsafa yeh zindagi ka,

Mausam ki parwah kise hai,
Barish ho ya sardi,
Mausam ki parwah kise hai,
Barish ho ya sardi,
Apne apne daftar,
Jaane ki hai sabko jaldi,
Sab ki aankhon mein sapney hai,
Aur laage mann pyaasa pyaasa,
Falsafa yeh zindagi ka,

Lambe safar ki khatir yun toh,
Sab ke sab aatey hai,
Lambe safar ki khatir yun toh,
Sab ke sab aatey hai,
Kayee musafir raste mein hi,
Chup se utar jaatey hai,
Udh jaata hai rooh ka panchi,
Mil jaaye mauka zara sa,
Falsafa yeh zindagi ka,

Falsafa yeh zindagi ka,
Koi bhi na ab tak samjha,
Falsafa yeh zindagi ka,
Koi bhi na ab tak samjha,
Itni saari bheed mein insaan,
Laage kitna tanha tanha sa,
Falsafa yeh zindagi ka.

top